Krushna Chalisa
Jai Shree Krushna, Rushivar emphasises on the repetition of the FAL SHRUTI, in block letters to be repeated thrice….for the proper result of your Path / recitation…..
Bansi shobhit kar madhur neel jalaj tanu shyam,
arun adhar janu bimbfal nayan kamal abhiraam |
purna indu arvind mukh pitambar suchi saaj,
jai Manmohan Madan chabi Krushnchandra Maharaj |
Jai jai jai Yadunandan jag vandan,
jai Vasudev Devkinandan ||
jai Yashoda sut Nand dulare,
jai prabhu bhaktan ke rakhvale ||
jai natnagar nath nathiya,
Krushn Kanhaiya dhenu charaiya ||
puni nakh per Prabhu Girivardharo,
aavo deenan kasht nivaro||
bansi madhur adhar dhari tero,
hove purna manorath mero ||
aavo Hari puni makhan khao,
aaj laaj bhaktan ki rakho ||
gol kapol chibuk arunare,
mradu muskan mohini daare ||
rajit rajiv nayan vishala,
mor mukut vayjayanti mala ||
kundal shrvan peet pat aache
kati kinkani kaachni kache ||
neel jalaj sunder tan sohe,
chavi lakhi sur-nar muni man mohe ||
mastak tilak alak gunghurale,
aavo Shyam Bansuri vale ||
kari paypaan putnahi taryo,
Agha, Baka,Kagasur maryo ||
Madhuban jalat agani jub jwala,
bhaye sheetal lakhat he Nanadlala ||
jab Surpati Braj chadhi risaayi,
musaldhar baari barsaii ||
lakhat lakhat Braj chahat bahayo,
Govardhan nakh dhari bachayo ||
lakhi Yashoda bhram adhikaayi,
mukh mah chaudh bhuvan dikhaii ||
dusht Kans ati udham machayo,
koti kamal kah phool magayo ||
nathi Kaliya ko tum linho,
charan chinh de nirbhay kinho ||
kari gopin sang raas vilaasa,
sabki puri kari abhilasha ||
agnit maha asur sanghaaryo,
Kans ki kesh pakad ke maryo ||
maat pita ko bandi chudayo,
Ugrasen kah raaj dilayo ||
Mahi se mrutak chayo sut layo,
Matu Devki shok mitayo ||
Narkasur mur khal sanghari,
laye shandas sahas kumari ||
dayi Bheem trin cheer ishara,
Jarasangh rakshas kah mara ||
Asur Bakasur adik maryo,
nij bhaktan kar kusht nivaryo ||
Deen Sudama ke dukh taryo,
tandul teen muthi mukh daryo ||
Duryodhan ke tyagyo meva,
kiyo Vidur ghar shaak kaleva ||
Lakhi prem tuhi mahima bhaari,
naumi Shyam deenan hitkari ||
Bharat me parath rath hanke,
liye Chakrkar nahi bal thake ||
nij Gita ke gyan sunaye,
bhaktan hruday sudha sarsaye ||
bhai Meera aesi matvari,
pee gayi vish baja kar tali ||
Rana bheja saap pitari,
Shaligram bane Banvari ||
Nijmaya tum bidhi he dikhayo,
ur ke shanshay sakal mitayo ||
Tav shat ninda kari tatkala,
Jeevan mukt bhayo Shishupala ||
Jub he Draupadi ter lagaii,
Deenanath laaj ab jayii ||
turat he basan bane Nanadlala ,
badhe cheer bhaye Arimukh kala ||
Us Anant ke nath Kanhaiya,
doobat bhavar bachavahi naiya ||
sunder daas baas Durvasa,
karat vinay prabhu purahu asha ||
NATH SAKAL UR KUMATI NIVARO,
KSHAMO BEGI APRADH HAMARO ||
kholo pat ab darshan deejo,
bolo Krushna Kanhaiya ki jai ||
bolo Krushna Kanhaiya ki jai,
bolo Krushna Kanhaiya ki jai ||
Krushnachandra ke naam se hot prafullit gaat,
tan ghatak paatak tarat rog door hoi jaat |
yah chaleesa Krushna ka path kare ur dhaari,
asht siddhi nav nidhi fal lahe padarath chari ||