Shree Lakshmi Chalisa .
SHREE LAKSHMI CHALISA –
Doha –
Matu Laxmi kari krupa , karo hruday me vaas |
Manokamna siddh kari , purvahu meri aas ||Sortha –
yehi mor ardaas, hath jod vinti karu |
sabvidhi karau suvas, jai janani jagdambika ||
Sindhu suta mai sumirau tohi | Gyan buddhi vidhya do mohi ||
tum saman nahi koi upkari | sab vidhi puravahu aas humari ||
jai jai jagat janani jagdamba | sabki tum he ho avlamba ||
tum he ho ghat ghat ki vaasi | vinati yahi humari khasi ||
jagjanani jai Sindhu kumari | deenan ki tum ho hitkaari ||
vinvau nitya tumhi Maharani | krupa karau jag janani Bhavani ||
kehi vidhi stuti karau tumhari | sudhi lijai apradh visari ||
Krupa drushti chitvo mum ori | Jagjanani vinti sun mori ||
Gyan buddhi jai sukh ki data | sankat haro humari mata||
Kshirsindhu jab Vishnu mathyo| Chaudah ratna sindhu me paayo||
chaudah ratna me tum sukhraasi | sewa kiyo prabhu bani daasi ||
jab jab janam jaha linha | roop badal tah sewa kinha ||
swayam Vishnu jab nar tanu dhara | linheu Avadhpuri avtara ||
tab tum pragat Janakpuri mahi | sewa kiyo hruday pulkahi ||
apnaya tohi antaryami | Vishva vidit tribhuvan ki swami ||
tum sam prabal shakti nahi aani | kah tak mahima kahau bakhani ||
mun kram vachan karau sewakai | mun ichchit vanchit fal payee ||
taji chal kapat aur chaturai | pujahi vividh bhanti mun laayee ||
aur haal mai kahau bujhai | jo yah paath karai mun laayee ||
taako koi kasht na hoi | mun icchit pavai fal soi ||
trahi trahi jai dukh nivarini | trividh taap bhav bandhan harini ||
jo yah chailsa padai padhavai | dhyan lagakar sunai sunavai ||
tako koi na rog satavai | putra aadi dhan sampatti pavai ||
putra heen aru sampati heena | andh badhir kodhi ati deena ||
vipra bolay kai paath karavai | shanka dil me kabhi na lavai ||
paath karavai din chalisa | ta per krupa karai Gaurisa ||
sukh sampatti bahut si pavai |kami nahi kahu ki avaii ||
barah maas karai jo pooja | tehi sam dhanya aur nahi duja ||
partidin paath karai mun mahi | un sam koi jag me kahu nahi ||
bahuvidhi kya mai karau badaii | ley pariksha dhyan lagai ||
kari vishvas karau vrat nema | hoy siddh upjai ur prema ||
jai jai jai Lakshmi Bhavani | sab me vyapit ho gun khani ||
tumharo tej prabal jagmahi | tum sam kou dayalu kahu naahi ||
mohi anath ki sudhi ab leejai | sankat kaati bhakti mohi deejai ||
bhool chuk kari kshma humari | darshan deejai dash nihari ||
bin darshan vyakul adhikari | tumhi akshat dukh sahte bhari ||
nahi maahi gyan buddhi hai tan me | sab jaanat ho apne mun me ||
roop chaturbhuj karke dharan | kasht more ab karahu nivaran ||
kehi prakar mai karau badaii | gyan buddhi mohi nahi adhikayi ||
doha –
trahi trahi dukh haarini , haro vegi sab traas |
jayati jayati jai Lakshmi , karo shatru ka naash ||
Raamdas dhari dhyan nit, vinay karat kar jore |
Maatu Lakshmi daas per karahu daya ki kor ||
*******************