Shree Tulsi Chalisa .

Doha –

jai jai Tulsi Bhagvati Satyavati sukhdani |

namo namo Hari Priyasi Shree Vrunda gunkhani ||

Shree Hari shish birajini, dehu amar var amb |

janhit Hey Vrundavani ab n karahu vilamb ||


 

|| Chaupaii ||

dhanya dhanya shri Tulsi mata , mahima agam sada shruti gata

Hari ke pranahu se tum pyari, Harihi hetu kinho tap bhaari


jab prasann hai darshan deenhyo, tab kar jori vinay us kinhyo

Hey Bhagvant Kant mum hohu , deen jaani jani chadahu chohu


suni Lakshmi Tulsi ki bani, deenho shrap kadh per aani.

us ayogya var maangan haari , hohu vitap tum jad tanu dhari


suni Tulsihi shrapyo tehi thama , karhu vaas tuhu neechan dhama

diyo vachan Hari tab tatkala , sunahu sumukhi jaihohu bihala


samay paai vhau pati tora , pujaihau aas vachan sat mor

tab Gokul mah gop Sudama , tasu bhai Tulsi tu bama


Krushn raas leela ke mahi , Radhe shakyo prem lakhi nahi

diyo shrap Tulsih tatkala , nar lokhi tum janmahu bala


yo Gop vah danav raja , Shankhchud namak shir taja

Tulsi bhai tasu ki nari , param sati gun roop agari


as dvai kalp bit jab gayau , kalp trutiy janam tab bhayau

Vrunda naam bhayo Tulsi ko , asur Jalandhar naam pati ko


kari ati dvand atul baldhama , linha Shankar se sangrama

ab nij sainy sahit Shiv hare , marahi n tab Har Harihi pukar


pativrata Vrunda thi nari, kou n sake patihi sanghari

tab Jalandharhi bhesh banayi , Vrunda dhig Hari pahuchyo jaai


Shiv hitlahi kari kapat prasanga , kiyo satitva dharm tehi bhanga

bhayo Jalandhar kar sanghara , suni ur shok upara


tihi kshan diyo kapat Hari tari , lakhi Vrunda dukh gira uchari

Jalandhar jas hatyo abhita , soi Ravan tas Harihi Sita


as prastar sam hruday tumhara , dharm khandi mum patihi sanghara

yahi karan lahi shrap humara , hove tanu pashan tumhara


suni Hari turatahi vachan uchare, diyo shrap tum bina vichare

lakhyo n nij kartuti pati ko , chalan chahyo Parvati ko


jadmati tuhu as ho jadroopa , jagmah Tulsi vitap anupa

dhgv roop hum Shaligrama , nadi Gandaki bich lalaama


jo Tulsidal humhi chadhaihau, sab sukh bhogi parampad paihau


binu Tulsi Hari jalat sharira , atishay uthat shish ur peera

jo Tulsidal Hari shish dharat , so sahastra ghat Amrut darat


Tulsi Hari mun ranjani haari , rog dosh dukh bhanjani haari

prem sahit Hari bhajan nirantar, Tulsi Radha me nahi antar


vyanjan ho chappanhu prakara , binu Tulsidal n Harihi pyara

sakal tirth Tulsi taru chahi, lahat mukti jan sanshay nahi


kavi sunder ik Hari gun gavat , Tulsihi nikat sahasgun pavat

basat nikat te purv lalama ,jo prayas te purv lalaama


paath karahi jo nit nar nari , hohi sukhi bhashahi Tripurari


Doha –

Tulsi chalisa padhahi Tulsi taru grah dhari

deepdaan kari putrfal pavahi bandhy hu nari

sakal dukh daridra Hari Har hvai param prasann

ashiy dhan jan ladahi grah badahi purna atr

lahi abhimat fal jagat mah laahi purn sabkaam

jaidal arpahi Tulsi tah sahas basahi HariRam

Tulsi mahima naam lakh Tulsi sut sukhraam

manas chalis rachyo jag mah Tulsidaas.